Wastay Hazrat Murad e naik naam     Ishq apna day mujhe rab al-inaam     Apni ulfat se aata kar soaz o saaz     Apne arfaan ke sikha raaz o niaz      Fazal e Rehman fazl tera har ghari darkaar hai     Fazal e Rehman fazl tera ho to bera paar hai

 

 

Hazrat Muhammad Murad Ali Khan Rahmatullah Alayh

 

 Hazrat Imam Abu Al Hasan Musa Raza

 

Razi AllahTala Anhu

 

Aap ki wiladat basaadt 11 Zeeqadah 128 Hijri mein Madinah Munawara  mein wiladat hui. Imam Musa Razi AllahTala Anhu Hazrat Musa Kazim Razi AllahTala Anhu  ke farzand they. Aap ka ism e  graami Ali laqab Raza aur kuniat Abu al Hasan thi. Agar aap ko pore naam ke sath yaad kya jaye to Hazrat  Imam al Hasan Ali bin Musa Raza Razi AllahTala Anhu  kaha jaye ga walida graami ki kuniat umm aur laqab Tahira tha. Nihayat ibadat guzaar bibi theen .

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

Aap ki wiladat se taqreebin aik mah qabal 15 Shawaal ko aap ke jad e bazurgwar Imam Jaffer Sadiq Razi AllahTala Anhui  is duniya se rukhsat ho chuke they. Itnay azeem haadsa ke baad jald hi is muqaddas molod ke duniya mein aa jany se yaqenan gharane  mein aik sukoon aur tasalii mehsoos ki gayi. Aap ki nash o numa aur tarbiyat apne waalid Hazrat Imam Musa Kazim Razi AllahTala Anhu ke zair e saya hui aur is muqaddas mahol mein bachpan aur jawani ki mutadid manzilain tey huien .

Amin ke qatal honay ke baad saltanat to Mamoon ke naam se qaim ho gayi magar yeh pehlay kaha ja chuka hai ke Amin nanhiyal ki taraf se arabi al-nasal tha aur Mamoon ajmi al-nasal. Amin ke qatal honay se Iraq ki arab qoum aur arkaan e saltanat ke dil Mamoon ki taraf se saaf nahi ho saktay they balkay gham o guhsh ki kefiyat mehsoos karte they. Doosri taraf  khud Bani Abbas mein se aik barri jamaat jo Amin ki taraf  daar thi is se bhi Mamoon ko har waqt khatrah laga howa tha .

Mamoon ke hawalay se aik kitaab ke Musannif ne tehreer kya hai jab Amin aur mera muqaabla tha to bohat naazuk haalat thi aur ain isi waqt mere khilaaf Seestan aur Karmaan mein bhi baghaawat ho gayi thi aur Khurasan mein be cheeni phaily hui thi aur meri maali haalat bhi abtar thi aur fouj ki taraf se bhi itminan nah tha to is sakht aur dushwaar mahol mein mein ne Khuda se iltija ki aur mannat maani ke agar yeh sab jhagrre khatam ho jaien aur mein khilafat taq pahuchoon to is ko is ke asli haqdaar yani aulad e Fatima mein se jo is ka ahal ho us taq puhancha doon . Isi nazar ke baad se mere sab kaam bannay lagey aur aakhir tamam dushmanon par mujhe fatah haasil hui .

Aap sadat karaam mein ilm aur qader o manzilat mein sab se bar tar aur aala they. Yahi wajah hai ke khalifa Mamoon ne apni sahib zadi umm Habib ka aap ke sath aqab kar diya aur apni mumlikat ka shareek bina liya .

Bani Abbas ne is aqab ki sakht mukhalfat ki aur Mamoon ke dil se aap ki azmat zael karne ke liye aik jayyad aalam Yahya bin Kasam se manazra ki thani. Muqarara tareekh par tamam arakeen e saltanat aur  ulma ki mojoodgi mein aap ne to is ke sab salawon ke jawabaat day dyie lekin woh aap ke salawon ka jawab nah day saka. Jis par Mamoon ne Bani Abbas ki taraf dekh kar kaha dekh liya tum logon ne. Matlab yeh ke un ke paye ka koi aalam nahi. Mamoon ne aap ko apna Wali Ehad muqarrar kar diya .

Hazrat Imam Musa Raza ne is Wali Ehdi ko qabool to kar liya. Magar kaar o bar saltanat mein mein khud dakhal nah dete they Hazrat Imam Musa Raza ki hesiyat apne faraiz ke injaam dainay mein bulkul aisay they jo un ke paish ro Hazrat Ali Murteza Razi AllahTala Anhu  apne zamana ki baiqdar taqaton ke sath inkhtiyaar kar chukay they. Hazrat Imam Musa Raza ne apne daman ko saltanat ke zulm ke iqdamaat aur nazam o nasaq se bilkul allag rakha .

Bani Abbas Mamoon ke is faislay se qatan mutfiq nah they unhon ne bohat darandazian  kee magar Mamoon ne saaf  keh diya ke Hazrat Imam Musa Raza se behtar koi dosra shakhs tum bata do is ka koi jawab nah tha. Is silsilay mein barray barray munazray bhi hue magar zahir hai ke Imam Ali Raza  Razi AllahTala Anhu ke muqaabla mein kis ki ilmi foqiat saabit ho sakti thi Mamoon ka faislah atal tha aur woh is se hatnay ke liye tayyar nah tha ke woh apne faisla ko badal deta .

Yakam Ramadaan 102 Hijri ko jalsyh Wali Ehdi munaqqid howa. Barri shaan aur tuzk o ahtsham  ke sath yeh taqreeb amal mein layi gayi. Sab se pehlay Mamoon ne apne betay Abbas ko ishara kya aur is ne baet ki. Phir aur dosre log baet se sharf yab hue sonay chandi ke sakay sar mubarik par nisar kiye gaye aur tamam arkan e saltanat o malazmeen  ko inamaat taqseem hue Mamoon ne hukum diya ke Hazrat Imam Musa Raza Razi AllahTala Anhu  ke naam ka sikkah tayyar kya jaye chunancha darham par Hazrat Imam Musa Raza ke naam ka naqsh howa aur tamam qalmro main woh sikkah chalaya gaya jummay ke khutba mein Hazrat Imam Musa Raza ka naam daakhil kya gaya .

Hazrat Imam Musa Raza Razi AllahTala Anhu  ka is saltanat ki Wali Ehdi par faiz hona duniya ke samnay aik namona tha ke deen walay agar duniya ko pa jayen to un ka rowya  kya hoga. Yahan Hazrat Imam Musa Raza Wali Ehdi  ko apni dainee zimma daari ko mehsoos karte hue zaroorat thi ke zuhad aur tark duniya ke muzahirey itnay hi numaya tar bana dain  jitne tuzk o ehtisham ke dainee takazey ziyada hain chunancha tareekh ne apne ko dohraya aur woh Hazrat Imam Musa Raza wAlii ehdi  ke libaas mein Ali Razi AllahTala Anhui  ki seerat duniya ki nigahon ke samnay aa gai. Aap ne apni doulat sara mein qeemti qaleen bishwana pasand nahi kiye balkay jaray mein balon ka kambal aur garmi mein chitaai ka farsh howa karta tha khana samnay laya jata to darbaan aur tamam ghulamoo ko bulaa kar apne sath khanay mein shareek farmatay they .

1 shakhs ne Hazrat Imam Musa Raza Raza Razi AllahTala Anhu  ki khidmat mein arz ki ke Khuda ki qisam aabao ajdaad ke aitbaar se koi shakhs aap se afzal nahi. Hazrat Razi AllahTala Anhu ne farmaya. Mere aabao ajdad ko jo sharf  haasil howa hai woh sirf taqwa parhaiz gari ki wajah sy huwa.1 shakhs ne kisi din kaha ke," aap behtareen khalq hain." Hazrat Imam Musa Raza Raza Razi AllahTala Anhu  ne farmaya," ae shakhs halaf  nah utha, jis ka taqwa aur parhaiz gari mujh se ziyada ho woh mujh se afzal hai. "

Ab Hazrat Imam Musa Raza Raza Razi AllahTala Anhu  ko tableegh e Islam  ki ashaat ke kaam ko taraqqi dainay ka bhi poora mauqa haasil ho gaya tha jis ki bunyaad is ke pehlay Hazrat Imam Muhammad Baqar Razi AllahTala Anhu  aur Imam Jaffer Sadiq Razi AllahTala Anhu qaim kar chukay they magar woh zamana aisa tha ke Imam Razi AllahTala Anhu ki khidmat mein wohi log haazir hotay they jo ba-hasiat Imam aur ba-hasiat aalam deen aap ke sath aqeedat rakhtay they aur ab Hazrat Imam Musa Raza Raza Razi AllahTala Anhu to Imam rohani bhi hain aur Walii Ehad saltanat bhi. Is liye aap ke darbaar mein haazir honay walon ka daira wasee hai .

Hazrat Imam Musa Ali Raza Razi AllahTala Anhu  ki tadaad e aulaad mein shadeed ikhtilaaf hai. Allama Majalsi ne Bahjra al Anawar jald 12 safha 26 mein kayi aqwal naqal karne ke baad ba hawala qurb ul asnaad tehreer farmaya hai ke aap ke do farzand they. Aik Imam Muhammad Taqi Raza Razi AllahTala Anhu dosray Musa. Anwaar  e Numanih safa 127 mein hai ke aap ke teen aulaad thi. Anwaar ul Husainia jald 3 safa 52 mein hai ke aap ke teen aulaad thi. Magar nasal sirf  Imam Muhammad Taqi se jari hui.Sawaiq e Murharqa  safa 123 mein hai ke aap ke paanch larke aur aik larki thi. Noor ul Absaar safa 145 mein hai ke aap paanch larke aur aik larki thi. Jin ke naam yeh hain. Imam Muhammad Taqi Razi AllahTala Anhu . Husn jaffer . Ibrahim. Hussain . Aisha Razi AllahTala Anha. Roza tul Shudah safa 238 mein hai ke aap ke paanch larke they jin ke naam yeh hain. Imam Muhammad Taqi Razi AllahTala Anhu . Hasan Jaffer Razi AllahTala Anhu . Ibrahim Razi AllahTala Anhu. Hussain Razi AllahTala Anhu .. Magar aap ki nasal sirf  Imam Muhammad Taqi Razi AllahTala Anhu se chali hai. Yahi kuch Rehmat tu Aalmeen jald 2 safa145 mein hai. Kashaf ul Ghama safa110 mein hai ke aap ke chay aulaad thi. 5 Larkeaur aik larki. Kanz  ul Nasaab safa 96 mein hai ke aap ke aath larke they jin ke naam yeh hain Imam Muhammad Taqi Razi AllahTala Anhu, Haadi Razi AllahTala Anhu, Ali Naqi Razi AllahTala Anhu, Hussain Razi AllahTala Anhu , Yaqoob Razi AllahTala Anhu, Ibrahim Razi AllahTala Anhu , Fazal Razi AllahTala Anhu, Jaffer Razi AllahTala Anhu .

Lekin Allama Muhammad bin Muhammad Numan aur dosrae log farmate hain ke Hazrat Imam Muhammad Taqi Razi AllahTala Anhu ke ilawa Imam Ali Raza Razi AllahTala Anhu ke koi aur aulaad nah thi .

Hazrat Imam Musa Raza se jab logon ki tawaquaat ghalat saabit honay lagen to is ka nateeja yeh nikla ke  woh Hazrat Imam Musa Raza Razi AllahTala Anhu  ki jaan lainay ke dar pay ho gaye. Aap ko ba tor e tohfa jo angoor paish kiye gaye they un mein zeher tha aur isi zeher ke assar se 17 Safar 302 Hijri mein Hazrat Imam Musa Raza Razi AllahTala Anhu ne shahadat payi. Mamoon ne ne bohat ranj ka izhaar kya aur barray shaan ke sath apne baap Haroon Rasheed ke qareeb dafan kya .